Ankur Mahajan
ASE, AUR
Aao mere dosto ,
tumhe bataun insaaniyat kaha hai,
suno insaaniyat yaha hai,
kissan deta humhe fal aur falhar hai,
seenchta apne sapno ko, aansuoon se sinchai kar ,
deta humhe fasal, bhookhe pait ki katai kar,
fir b mehnat uski bekaar hai,
isiliye, insaaniyat yaha hai…
Mazdoor deta humhe makaan hai,
jo hamara ghar ,hamara yahaan hai,
ek ek iint pe pasina uska hai,par dekho
khata sukhe pakwaan hai…
dekhlo tum, kuch jaan lo tum,
aur fir bolo tum insaaniyat kaha hai…
me kehta hoon insaaniyat ,
yaha hai , yaha hai, aur sirf yaha hai…
This entry was posted
on Friday, May 7, 2010
at 11:46 PM
and is filed under
Sundry
. You can follow any responses to this entry through the
comments feed
.